Syed Sagheer Safi

insan ki haalat par ab waqt bhi hairan hai

Syed Sagheer Safi

insān kī hālat par ab vaqt bhī hairāñ hai
har shaḳhs ke hāthoñ meñ apnā hī garebāñ hai
kīchaḌ na uchhāleñ ham kirdār pe auroñ ke
hai chāñd barahna gar sūraj bhī to uryāñ hai
ab log sabaq ham se kyuuñ kar nahīñ lete haiñ
ab paas hamāre to ibrat kā bhī sāmāñ hai
tabdīlī-e-ḳhvāhish par ye zehn bhī hairāñ hai
ab dil ye mohabbat ke saa.e se gurezāñ hai
har roz hī bahtā hai ruḳhsār pe rātoñ kī
ye ashk falak ke jo chehre pe bhī larzāñ hai
kyuuñ us ko mohabbat kā ehsās nahīñ hotā
āñkhoñ meñ mirī ab to har dard numāyāñ hai
duniyā se to laḌne kā aa.egā mazā kitnā
paane kī tamannā meñ miTne kā bhī imkāñ hai
Top Urdushayar.com