dil ko har lamha bachāte rahe jazbāt se ham
itne majbūr rahe haiñ kabhī hālāt se ham
nashsha-e-mai se kahīñ pyaas bujhī hai dil kī
tishnagī aur baḌhā laa.e ḳharājāt se ham
aaj to mil ke bhī jaise na mile hoñ tujh se
chauñk uThte the kabhī terī mulāqāt se ham
ishq meñ aaj bhī hai nīm-nigāhī kā chalan
pyaar karte haiñ usī husn-e-rivāyāt se ham
markaz-e-dīda-e-ḳhūbān-e-jahāñ haiñ bhī to kyā
ek nisbat bhī to rakhte haiñ tirī zaat se ham