Jaan Nisar Akhtar

humse bhaga na karo dur ghazalon ki tarah

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
ham se bhāgā na karo duur ġhazāloñ kī tarah
ham ne chāhā hai tumheñ chāhne vāloñ kī tarah
ḳhud-ba-ḳhud niind sī āñkhoñ meñ ghulī jaatī hai
mahkī mahkī hai shab-e-ġham tire bāloñ kī tarah
tere bin raat ke hāthoñ pe ye tāroñ ke ayāġh
ḳhūb-sūrat haiñ magar zahr ke pyāloñ kī tarah
aur kyā is se ziyāda koī narmī bartūñ
dil ke zaḳhmoñ ko chhuā hai tire gāloñ kī tarah
gungunāte hue aur aa kabhī un sīnoñ meñ
terī ḳhātir jo mahakte haiñ shivāloñ kī tarah
terī zulfeñ tirī āñkheñ tire abrū tire lab
ab bhī mash.hūr haiñ duniyā meñ misāloñ kī tarah
ham se māyūs na ho ai shab-e-daurāñ ki abhī
dil meñ kuchh dard chamakte haiñ ujāloñ kī tarah
mujh se nazreñ to milāo ki hazāroñ chehre
merī āñkhoñ meñ sulagte haiñ savāloñ kī tarah
aur to mujh ko milā kyā mirī mehnat kā sila
chand sikke haiñ mire haath meñ chhāloñ kī tarah
justujū ne kisī manzil pe Thaharne na diyā
ham bhaTakte rahe āvāra ḳhayāloñ kī tarah
zindagī jis ko tirā pyaar milā vo jaane
ham to nākām rahe chāhne vāloñ kī tarah
Top Urdushayar.com