mai-kashī ab mirī aadat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ye bhī ik talḳh haqīqat ke sivā kuchh bhī nahīñ
fitna-e-aql ke juuyā mirī duniyā se guzar
merī duniyā meñ mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ
dil meñ vo shorish-e-jazbāt kahāñ tere baġhair
ek ḳhāmosh qayāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
mujh ko ḳhud apnī javānī kī qasam hai ki ye ishq
ik javānī kī sharārat ke sivā kuchh bhī nahīñ