har ek shaḳhs pareshān-o-darba-dar sā lage
ye shahr mujh ko to yaaro koī bhañvar sā lage
ab us ke tarz-e-tajāhul ko kyā kahe koī
vo be-ḳhabar to nahīñ phir bhī be-ḳhabar sā lage
har ek ġham ko ḳhushī kī tarah baratnā hai
ye daur vo hai ki jiinā bhī ik hunar sā lage
nashāt-e-sohbat-e-rindāñ bahut ġhanīmat hai
ki lamha lamha pur-āshob-o-pur-ḳhatar sā lage
kise ḳhabar hai ki duniyā kā hashr kyā hogā
kabhī kabhī to mujhe aadmī se Dar sā lage
vo tund vaqt kī rau hai ki paañv Tik na sakeñ
har aadmī koī ukhḌā huā shajar sā lage
jahān-e-nau ke mukammal siñgār kī ḳhātir
sadī sadī kā zamāna bhī muḳhtasar sā lage