Jaan Nisar Akhtar

muddat hui us jaan-e-haya ne humse ye iqrar kiya

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
muddat huī us jān-e-hayā ne ham se ye iqrār kiyā
jitne bhī badnām hue ham utnā us ne pyaar kiyā
pahle bhī ḳhush-chashmoñ meñ ham chaukannā se rahte the
terī soī āñkhoñ ne to aur hameñ hoshiyār kiyā
jaate jaate koī ham se achchhe rahnā kah to gayā
pūchhe lekin pūchhne vaale kis ne ye bīmār kiyā
qatra qatra sirf huā hai ishq meñ apne dil kā lahū
shakl dikhā.ī tab us ne jab āñkhoñ ko ḳhūñ-bār kiyā
ham par kitnī baar paḌe ye daure bhī tanhā.ī ke
jo bhī ham se milne aayā milne se inkār kiyā
ishq meñ kyā nuqsān nafā hai ham ko kyā samjhāte ho
ham ne saarī umr hī yaaro dil kā kārobār kiyā
mahfil par jab niiñd sī chhā.ī sab ke sab ḳhāmosh hue
ham ne tab kuchh sher sunāyā logoñ ko bedār kiyā
ab tum socho ab tum jaano jo chāho ab rañg bharo
ham ne to ik naqsha khīñchā ik ḳhāka tayyār kiyā
desh se jab pardesh sidhāre ham par ye bhī vaqt paḌā
nazmeñ chhoḌī ġhazleñ chhoḌī gītoñ kā bevpār kiyā
Top Urdushayar.com