ai dard-e-ishq tujh se mukarne lagā huuñ maiñ
mujh ko sambhāl had se guzarne lagā huuñ maiñ
pahle haqīqatoñ hī se matlab thā aur ab
ek aadh baat farz bhī karne lagā huuñ maiñ
har aan TūTte ye aqīdoñ ke silsile
lagtā hai jaise aaj bikharne lagā huuñ maiñ
ai chashm-e-yār merā sudharnā muhāl thā
terā kamāl hai ki sudharne lagā huuñ maiñ
ye mehr-o-māh arz-o-samā mujh meñ kho ga.e
ik kā.enāt ban ke ubharne lagā huuñ maiñ
itnoñ kā pyaar mujh se sambhālā na jā.egā
logo tumhāre pyaar se Darne lagā huuñ maiñ
dillī kahāñ ga.iiñ tire kūchoñ kī raunaqeñ
galiyoñ se sar jhukā ke guzarne lagā huuñ maiñ