Jaan Nisar Akhtar

mujhe malum hai main sari duniya ki amanat hun

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
mujhe ma.alūm hai maiñ saarī duniyā kī amānat huuñ
magar vo lamha jab maiñ sirf apnā ho sā jaatā huuñ
maiñ tum se duur rahtā huuñ to mere saath rahtī ho
tumhāre paas aatā huuñ to tanhā ho sā jaatā huuñ
maiñ chāhe sach hī bolūñ har tarah se apne baare meñ
magar tum muskurātī ho to jhūTā ho sā jaatā huuñ
tire gul-rañg hoñToñ se dahaktī zindagī pī kar
maiñ pyāsā aur pyāsā aur pyāsā ho sā jaatā huuñ
tujhe bāñhoñ meñ bhar lene kī ḳhvāhish yuuñ ubhartī hai
ki maiñ apnī nazar meñ aap rusvā ho sā jaatā huuñ
Top Urdushayar.com