Jaan Nisar Akhtar

tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
tulū-e-sub.h hai nazreñ uThā ke dekh zarā
shikast-e-zulmat-e-shab muskurā ke dekh zarā
ġham-e-bahār o ġham-e-yār hī nahīñ sab kuchh
ġham-e-jahāñ se bhī dil ko lagā ke dekh zarā
bahār kaun sī sauġhāt le ke aa.ī hai
hamāre zaḳhm-e-tamannā tū aa ke dekh zarā
har ek samt se ik āftāb ubhregā
charāġh-e-dair-o-haram to bujhā ke dekh zarā
vajūd-e-ishq kī tārīḳh kā pata to chale
varaq ulaT ke tū arz o samā ke dekh zarā
mile to tū hī mile aur kuchh qubūl nahīñ
jahāñ meñ hausle ahl-e-vafā ke dekh zarā
tirī nazar se hai rishta mire girebāñ kā
kidhar hai merī taraf muskurā ke dekh zarā
Top Urdushayar.com