sub.h ke dard ko rātoñ kī jalan ko bhūleñ
kis ke ghar jaa.eñ ki is va.ada-shikan ko bhūleñ
aaj tak choT dabā.e nahīñ dabtī dil kī
kis tarah us sanam-e-sañg-badan ko bhūleñ
ab sivā is ke mudāvā-e-ġham-e-dil kyā hai
itnī pī jaa.eñ ki har rañj-o-mehan ko bhūleñ
aur tahzīb-e-ġham-e-ishq nibhā deñ kuchh din
āḳhirī vaqt meñ kyā apne chalan ko bhūleñ