Jaan Nisar Akhtar

tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
tumhāre jashn ko jashn-e-farozāñ ham nahīñ kahte
lahū kī garm būñdoñ ko charāġhāñ ham nahīñ kahte
agar had se guzar jaa.e davā to ban nahīñ jaatā
kisī bhī dard ko duniyā kā darmāñ ham nahīñ kahte
nazar kī intihā koī na dil kī intihā koī
kisī bhī husn ko husn-e-farāvāñ ham nahīñ kahte
kisī āshiq ke shāne par bikhar jaa.e to kyā kahnā
magar is zulf ko zulf-e-pareshāñ ham nahīñ kahte
na bū-e-gul mahaktī hai na shāḳh-e-gul lachaktī hai
abhī apne gulistāñ ko gulistāñ ham nahīñ kahte
bahāroñ se junūñ ko har tarah nisbat sahī lekin
shaguft-e-gul ko āshiq kā garebāñ ham nahīñ kahte
hazāroñ saal biite haiñ hazāroñ saal bīteñge
badal jā.egī kal taqdīr-e-insāñ ham nahīñ kahte
Top Urdushayar.com