kafan kī jeb bhī ḳhālī nahīñ hai
ye bad-halī hai ḳhush-hālī nahīñ hai
to kyā ye phuul ḳhud hī khil gayā thā
jo kahtā hai koī maalī nahīñ hai
unheñ mat dekh ḳhush rahne de un ko
tirī ḳhātir ye dīvālī nahīñ hai
tirī tasvīr jhūTī hai musavvir
mire shahroñ meñ hariyālī nahīñ hai
vo ghar girne lagā hai jis kī ham ne
abhī buniyād bhī Daalī nahīñ hai
to kyā mujh ko sazā degā vo jis ne
mirī ik baat bhī Taalī nahīñ hai
tire baare meñ jab sochā to dekhā
ye raat aisī bhī ab kaalī nahīñ hai
na kar 'momin' yahāñ koī tamāshā
ye duniyā dekhne vaalī nahīñ hai