Jaan Nisar Akhtar

ranj-o-gham mange hai andoh-o-bala mange hai

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
ranj-o-ġham māñge hai andoh-o-balā māñge hai
dil vo mujrim hai ki ḳhud apnī sazā māñge hai
chup hai har zaḳhm-e-gulū chup hai shahīdoñ kā lahū
dast-e-qātil hai jo mehnat kā sila māñge hai
tū bhī ik daulat-e-nāyāb hai par kyā kahiye
zindagī aur bhī kuchh tere sivā māñge hai
khoī khoī ye nigāheñ ye ḳhamīda palkeñ
haath uThā.e koī jis tarah duā māñge hai
raas ab aa.egī ashkoñ kī na aahoñ kī fazā
aaj kā pyaar na.ī āb-o-havā māñge hai
bāñsurī kā koī naġhma na sahī chīḳh sahī
har sukūt-e-shab-e-ġham koī sadā māñge hai
laakh munkir sahī par zauq-e-parastish merā
aaj bhī koī sanam koī ḳhudā māñge hai
saañs vaise hī zamāne kī rukī jaatī hai
vo badan aur bhī kuchh tañg qabā māñge hai
dil har ik haal se begāna huā jaatā hai
ab tavajjoh na taġhāful na adā māñge hai
Top Urdushayar.com