zarā sī baat pe har rasm toḌ aayā thā
dil-e-tabāh ne bhī kyā mizāj paayā thā
guzar gayā hai koī lamha-e-sharar kī tarah
abhī to maiñ use pahchān bhī na paayā thā
muaaf kar na sakī merī zindagī mujh ko
vo ek lamha ki maiñ tujh se tañg aayā thā
shagufta phuul simaT kar kalī bane jaise
kuchh is kamāl se tū ne badan churāyā thā
patā nahīñ ki mire ba.ad un pe kyā guzrī
maiñ chand ḳhvāb zamāne meñ chhoḌ aayā thā