Jaan Nisar Akhtar

tum pe kya bit gai kuchh to batao yaro

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
tum pe kyā biit ga.ī kuchh to batāo yaaro
maiñ koī ġhair nahīñ huuñ ki chhupāo yaaro
in añdheroñ se nikalne kī koī raah karo
ḳhūn-e-dil se koī mish.al hī jalāo yaaro
ek bhī ḳhvāb na ho jin meñ vo āñkheñ kyā haiñ
ik na ik ḳhvāb to āñkhoñ meñ basāo yaaro
bojh duniyā kā uThā.ūñgā akelā kab tak
ho sake tum se to kuchh haath baTāo yaaro
zindagī yuuñ to na bāñhoñ meñ chalī aa.egī
ġham-e-daurāñ ke zarā naaz uThāo yaaro
umr-bhar qatl huā huuñ maiñ tumhārī ḳhātir
āḳhirī vaqt to suulī na chaḌhāo yaaro
aur kuchh der tumheñ dekh ke jī luuñ Thahro
merī bālīñ se abhī uTh ke na jaao yaaro
Top Urdushayar.com