har ek ruuh meñ ik ġham chhupā lage hai mujhe
ye zindagī to koī bad-duā lage hai mujhe
pasand-e-ḳhātir-e-ahl-e-vafā hai muddat se
ye dil kā daaġh jo ḳhud bhī bhalā lage hai mujhe
jo āñsuoñ meñ kabhī raat bhiig jaatī hai
bahut qarīb vo āvāz-e-pā lage hai mujhe
maiñ so bhī jā.ūñ to kyā merī band āñkhoñ meñ
tamām raat koī jhāñktā lage hai mujhe
maiñ jab bhī us ke ḳhayāloñ meñ kho sā jaatā huuñ
vo ḳhud bhī baat kare to burā lage hai mujhe
maiñ sochtā thā ki lauTūñgā ajnabī kī tarah
ye merā gaañv to pahchāntā lage hai mujhe
na jaane vaqt kī raftār kyā dikhātī hai
kabhī kabhī to baḌā ḳhauf sā lage hai mujhe
bikhar gayā hai kuchh is tarah aadmī kā vajūd
har ek fard koī sāneha lage hai mujhe
ab ek aadh qadam kā hisāb kyā rakhiye
abhī talak to vahī fāsla lage hai mujhe
hikāyat-e-ġham-e-dil kuchh kashish to rakhtī hai
zamāna ġhaur se suntā huā lage hai mujhe