Jaan Nisar Akhtar

zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
zamīñ hogī kisī qātil kā dāmāñ ham na kahte the
akārat jā.egā ḳhūn-e-shahīdāñ ham na kahte the
ilāj-e-chāk-e-pairāhan huā to is tarah hogā
siyā jā.egā kāñToñ se garebāñ ham na kahte the
tarāne kuchh diye lafzoñ meñ ḳhud ko qaid kar leñge
ajab andāz se phailegā zindāñ ham na kahte the
koī itnā na hogā laash bhī le jā ke dafnā de
inhīñ saḌkoñ pe mar jā.egā insāñ ham na kahte the
nazar lipTī hai sholoñ meñ lahū taptā hai āñkhoñ meñ
uThā hī chāhtā hai koī tūfāñ ham na kahte the
chhalakte jaam meñ bhīgī huī āñkheñ utar aa.iiñ
satā.egī kisī din yād-e-yārāñ ham na kahte the
na.ī tahzīb kaise lucknow ko raas aa.egī
ujaḌ jā.egā ye shahr-e-ġhazālāñ ham na kahte the
Top Urdushayar.com