mauj-e-gul mauj-e-sabā mauj-e-sahar lagtī hai
sar se pā tak vo samāñ hai ki nazar lagtī hai
ham ne har gaam pe sajdoñ ke jalā.e haiñ charāġh
ab hameñ terī galī rāhguzar lagtī hai
lamhe lamhe meñ basī hai tirī yādoñ kī mahak
aaj kī raat to ḳhushbū kā safar lagtī hai
jal gayā apnā nasheman to koī baat nahīñ
dekhnā ye hai ki ab aag kidhar lagtī hai
saarī duniyā meñ ġharīboñ kā lahū bahtā hai
har zamīñ mujh ko mire ḳhuun se tar lagtī hai
koī āsūda nahīñ ahl-e-siyāsat ke sivā
ye sadī dushman-e-arbāb-e-hunar lagtī hai
vāqi.a shahr meñ kal to koī aisā na huā
ye to aḳhbār ke daftar kī ḳhabar lagtī hai
lucknow kyā tirī galiyoñ kā muqaddar thā yahī
har galī aaj tirī ḳhāk-basar lagtī hai