aa.e kyā kyā yaad nazar jab paḌtī in dālānoñ par
us kā kāġhaz chipkā denā ghar ke raushan-dānoñ par
aaj bhī jaise shāne par tum haath mire rakh detī ho
chalte chalte ruk jaatā huuñ saarī kī dūkānoñ par
barkhā kī to baat hī chhoḌo chanchal hai purvā.ī bhī
jaane kis kā sabz dupaTTā pheñk ga.ī hai dhānoñ par
shahr ke tapte fuTpāthoñ par gaañv ke mausam saath chaleñ
būḌhe bargad haath sā rakh deñ mere jalte shānoñ par
saste dāmoñ le to aate lekin dil thā bhar aayā
jaane kis kā naam khudā thā pītal ke gul-dānoñ par
us kā kyā man-bhed batā.ūñ us kā kyā andāz kahūñ
baat bhī merī sunñā chāhe haath bhī rakkhe kānoñ par
aur bhī siina kasne lagtā aur kamar bal khā jaatī
jab bhī us ke paañv phisalne lagte the Dhalvānoñ par
sher to un par likkhe lekin auroñ se mansūb kiye
un ko kyā kyā ġhussa aayā nazmoñ ke unvānoñ par
yaaro apne ishq ke qisse yuuñ bhī kam mash.hūr nahīñ
kal to shāyad novel likkhe jaa.eñ in rūmānoñ par