Jaan Nisar Akhtar

bahut dil kar ke honTon ki shagufta tazgi di hai

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
bahut dil kar ke hoñToñ kī shagufta tāzgī dī hai
chaman māñgā thā par us ne ba-mushkil ik kalī dī hai
mire ḳhalvat-kade ke raat din yūñhī nahīñ sañvre
kisī ne dhuup baḳhshī hai kisī ne chāndnī dī hai
nazar ko sabz maidānoñ ne kyā kyā vus.ateñ baḳhshīñ
pighalte ābshāroñ ne hameñ dariyā-dilī dī hai
mohabbat nā-ravā taqsīm kī qaa.el nahīñ phir bhī
mirī āñkhoñ ko aañsū tere hoñToñ ko hañsī dī hai
mirī āvārgī bhī ik karishma hai zamāne meñ
har ik darvesh ne mujh ko duā-e-ḳhair hī dī hai
kahāñ mumkin thā koī kaam ham jaise divānoñ se
tumhīñ ne giit likhvā.e tumhīñ ne shā.irī dī hai
Top Urdushayar.com