maiñ apne aap ko pahchān hī nahīñ paayā
isī liye maiñ tujhe jaan hī nahīñ paayā
ye dekh kar vo pareshāñ hai terī mahfil meñ
kisī ko us ne pareshān hī nahīñ paayā
abhī se tujh ko paḌī hai visāl kī mirī jaañ
abhī to hijr ne unvān hī nahīñ paayā
vo ek lamha mirī zindagī pe taarī hai
jo ek lamha abhī aan hī nahīñ paayā
ḳhushī ḳhushī tirī duniyā ko chhoḌ aa.e ham
ḳhushī kā jab koī sāmān hī nahīñ paayā
javāz mil na sakā mujh ko apne hone kā
so apne aap ko insān hī nahīñ paayā
ajiib hijr kiyā ham ne hijr meñ 'momin'
visāl-e-yār kā armān hī nahīñ paayā