maanā ki rañg rañg tirā pairahan bhī hai
par is meñ kuchh karishma-e-aks-e-badan bhī hai
aql-e-ma.āsh o hikmat-e-duniyā ke bāvajūd
ham ko aziiz ishq kā dīvāna-pan bhī hai
mutrib bhī tū nadīm bhī tū sāqiyā bhī tū
tū jān-e-anjuman hī nahīñ anjuman bhī hai
baazū chhuā jo tū ne to us din khulā ye raaz
tū sirf rañg-o-bū hī nahīñ hai badan bhī hai
ye daur kis tarah se kaTegā pahāḌ sā
yaaro batāo ham meñ koī kohkan bhī hai