Jaan Nisar Akhtar

dida o dil mein koi husn bikharta hi raha

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
diida o dil meñ koī husn bikhartā hī rahā
laakh pardoñ meñ chhupā koī sañvartā hī rahā
raushnī kam na huī vaqt ke tūfānoñ meñ
dil ke dariyā meñ koī chāñd utartā hī rahā
rāste bhar koī aahaT thī ki aatī hī rahī
koī saaya mire baazū se guzartā hī rahā
miT gayā par tirī bāñhoñ ne sameTā na mujhe
shahr dar shahr maiñ galiyoñ meñ bikhartā hī rahā
lamha lamha rahe āñkhoñ meñ andhere lekin
koī sūraj mire siine meñ ubhartā hī rahā
Top Urdushayar.com