vo log hī har daur meñ mahbūb rahe haiñ
jo ishq meñ tālib nahīñ matlūb rahe haiñ
tūfān kī āvāz to aatī nahīñ lekin
lagtā hai safīne se kahīñ Duub rahe haiñ
un ko na pukāro ġham-e-daurāñ ke laqab se
jo dard kisī naam se mansūb rahe haiñ
ham bhī tirī sūrat ke parastār haiñ lekin
kuchh aur bhī chehre hameñ marġhūb rahe haiñ
alfāz meñ iz.hār-e-mohabbat ke tarīqe
ḳhud ishq kī nazroñ meñ bhī māyūb rahe haiñ
is ahd-e-basīrat meñ bhī naqqād hamāre
har ek baḌe naam se mar.ūb rahe haiñ
itnā bhī na ghabrāo na.ī tarz-e-adā se
har daur meñ badle hue uslūb rahe haiñ