Jaan Nisar Akhtar

zulfen sina naf kamar

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
zulfeñ siina naaf kamar
ek nadī meñ kitne bhañvar
sadiyoñ sadiyoñ merā safar
manzil manzil rāhguzar
kitnā mushkil kitnā kaThin
jiine se jiine kā hunar
gaañv meñ aa kar shahr base
gaañv bichāre jaa.eñ kidhar
phūñkne vaale sochā bhī
phailegī ye aag kidhar
laakh tarah se naam tirā
baiThā likkhūñ kāġhaz par
chhoTe chhoTe zehn ke log
ham se un kī baat na kar
peT pe patthar bāñdh na le
haath meñ sajte haiñ patthar
raat ke pīchhe raat chale
ḳhvāb huā har ḳhvāb-e-sahar
shab bhar to āvāra phire
lauT chaleñ ab apne ghar
Top Urdushayar.com