Jaan Nisar Akhtar

ufuq agarche pighalta dikhai paDta hai

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
ufuq agarche pighaltā dikhā.ī paḌtā hai
mujhe to duur saverā dikhā.ī paḌtā hai
hamāre shahr meñ be-chehra log baste haiñ
kabhī kabhī koī chehra dikhā.ī paḌtā hai
chalo ki apnī mohabbat sabhī ko baañT aa.eñ
har ek pyaar kā bhūkā dikhā.ī paḌtā hai
jo apnī zaat se ik anjuman kahā jaa.e
vo shaḳhs tak mujhe tanhā dikhā.ī paḌtā hai
na koī ḳhvāb na koī ḳhalish na koī ḳhumār
ye aadmī to adhūrā dikhā.ī paḌtā hai
lachak rahī haiñ shuāoñ kī sīḌhiyāñ paiham
falak se koī utartā dikhā.ī paḌtā hai
chamaktī ret pe ye ġhusl-e-āftāb tirā
badan tamām sunahrā dikhā.ī paḌtā hai
Top Urdushayar.com