jab lageñ zaḳhm to qātil ko duā dī jaa.e
hai yahī rasm to ye rasm uThā dī jaa.e
dil kā vo haal huā hai ġham-e-daurāñ ke tale
jaise ik laash chaTānoñ meñ dabā dī jaa.e
inhīñ gul-rañg darīchoñ se sahar jhāñkegī
kyuuñ na khilte hue zaḳhmoñ ko duā dī jaa.e
kam nahīñ nashshe meñ jaaḌe kī gulābī rāteñ
aur agar terī javānī bhī milā dī jaa.e
ham se pūchho ki ġhazal kyā hai ġhazal kā fan kyā
chand lafzoñ meñ koī aag chhupā dī jaa.e