Jaan Nisar Akhtar

humne kaTi hain teri yaad mein raaten aksar

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
ham ne kaaTī haiñ tirī yaad meñ rāteñ aksar
dil se guzrī haiñ sitāroñ kī barāteñ aksar
aur to kaun hai jo mujh ko tasallī detā
haath rakh detī haiñ dil par tirī bāteñ aksar
husn shā.ista-e-tahzīb-e-alam hai shāyad
ġham-zada lagtī haiñ kyuuñ chāñdnī rāteñ aksar
haal kahnā hai kisī se to muḳhātab hai koī
kitnī dilchasp huā kartī haiñ bāteñ aksar
ishq rahzan na sahī ishq ke hāthoñ phir bhī
ham ne luTtī huī dekhī haiñ barateñ aksar
ham se ik baar bhī jiitā hai na jītegā koī
vo to ham jaan ke khā lete haiñ māteñ aksar
un se pūchho kabhī chehre bhī paḌhe haiñ tum ne
jo kitāboñ kī kiyā karte haiñ bāteñ aksar
ham ne un tund-havāoñ meñ jalā.e haiñ charāġh
jin havāoñ ne ulaT dī haiñ bisāteñ aksar
Top Urdushayar.com