Jaan Nisar Akhtar

achchha hai un se koi taqaza kiya na jae

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
achchhā hai un se koī taqāzā kiyā na jaa.e
apnī nazar meñ aap ko rusvā kiyā na jaa.e
ham haiñ tirā ḳhayāl hai terā jamāl hai
ik pal bhī apne aap ko tanhā kiyā na jaa.e
uThne ko uTh to jaa.eñ tirī anjuman se ham
par terī anjuman ko bhī suunā kiyā na jaa.e
un kī ravish judā hai hamārī ravish judā
ham se to baat baat pe jhagḌā kiyā na jaa.e
har-chand e'tibār meñ dhoke bhī haiñ magar
ye to nahīñ kisī pe bharosā kiyā na jaa.e
lahja banā ke baat kareñ un ke sāmne
ham se to is tarah kā tamāshā kiyā na jaa.e
in.aam ho ḳhitāb ho vaise mile kahāñ
jab tak sifārishoñ ko ikaTThā kiyā na jaa.e
is vaqt ham se pūchh na ġham rozgār ke
ham se har ek ghūñT ko kaḌvā kiyā na jaa.e
Top Urdushayar.com