Jaan Nisar Akhtar

jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho

Jaan Nisar Akhtar

Gwalior, Madhya Pradesh, India

1914-1976
jism kī har baat hai āvārgī ye mat kaho
ham bhī kar sakte haiñ aisī shā.erī ye mat kaho
us nazar kī us badan kī gungunāhaT to suno
ek sī hotī hai har ik rāgnī ye mat kaho
ham se dīvānoñ ke bin duniyā sañvartī kis tarah
aql ke aage hai kyā dīvāngī ye mat kaho
kaT sakī haiñ aaj tak sone kī zanjīreñ kahāñ
ham bhī ab āzād haiñ yaaro abhī ye mat kaho
paañv itne tez haiñ uThte nazar aate nahīñ
aaj thak kar rah gayā hai aadmī ye mat kaho
jitne va.ade kal the utne aaj bhī maujūd haiñ
un ke va.adoñ meñ huī hai kuchh kamī ye mat kaho
dil meñ apne dard kī chhiTkī huī hai chāñdnī
har taraf phailī huī hai tīrgī ye mat kaho
Top Urdushayar.com