vo ham se aaj bhī dāman-kashāñ chale hai miyāñ
kisī pe zor hamārā kahāñ chale hai miyāñ
jahāñ bhī thak ke koī kārvāñ Thahartā hai
vahīñ se ek nayā kārvāñ chale hai miyāñ
jo ek samt gumāñ hai to ek samt yaqīñ
ye zindagī to yūñhī darmiyāñ chale hai miyāñ
badalte rahte haiñ bas naam aur to kyā hai
hazāroñ saal se ik dāstāñ chale hai miyāñ
har ik qadam hai na.ī āzmā.ishoñ kā hujūm
tamām umr koī imtihāñ chale hai miyāñ
vahīñ pe ghūmte rahnā to koī baat nahīñ
zamīñ chale hai to aage kahāñ chale hai miyāñ
vo ek lamha-e-hairat ki lafz saath na deñ
nahīñ chale hai na aise meñ haañ chale hai miyāñ