āñkheñ churā ke ham se bahār aa.e ye nahīñ
hisse meñ apne sirf ġhubār aa.e ye nahīñ
kū-e-ġham-e-hayāt meñ sab umr kaaT dī
thoḌā sā vaqt vaañ bhī guzār aa.e ye nahīñ
ḳhud ishq qurb-e-jism bhī hai qurb-e-jāñ ke saath
ham duur hī se un ko pukār aa.e ye nahīñ
āñkhoñ meñ dil khule hoñ to mausam kī qaid kyā
fasl-e-bahār hī meñ bahār aa.e ye nahīñ
ab kyā kareñ ki husn jahāñ hai aziiz hai
tere sivā kisī pe na pyaar aa.e ye nahīñ
va.adoñ ko ḳhūn-e-dil se likho tab to baat hai
kāġhaz pe qismatoñ ko sañvār aa.e ye nahīñ
kuchh roz aur kal kī muravvat meñ kaaT leñ
dil ko yaqīn-e-va.ada-e-yār aa.e ye nahīñ