ab vo pahlī sī shiddat kahāñ hai
hijr meñ ve tamāzat kahāñ hai
ham to Thahre sadā ke gadāgar
tū batā terī daulat kahāñ hai
dekh kar chāñd jaltā thā jis ko
aaj vo ḳhūbsūrat kahāñ hai
saañs ḳhud hī chalī aa rahī hai
saañs lene kī fursat kahāñ hai
aa.ina maiñ ne dekhā to dekhā
saare aalam kī hairat kahāñ hai
ab to bas ek dil hī bachā hai
aur vo bhī salāmat kahāñ hai
aadmī to nazar aa rahe haiñ
haañ magar ādamiyat kahāñ hai
DhūñDne se jo mil jaa.e 'momin'
DhūñD lenā mohabbat kahāñ hai