abdurrahman momin

yaqin kaun karega guman pe aaya hun

abdurrahman momin

Pakistan

1996
yaqīn kaun karegā gumāñ pe aayā huuñ
maiñ apne aap se chhup kar yahāñ pe aayā huuñ
mujhe bhī aql pareshān kartī rahtī hai
nahīñ nahīñ se guzar kar maiñ haañ pe aayā huuñ
mujhe vo dekh ke hairān kyuuñ nahīñ hogā
zamīn oḌh ke maiñ āsmāñ pe aayā huuñ
ye baat tū hī batā kis tarah batā.ūñ tujhe
maiñ dil ke rāste terī zabāñ pe aayā huuñ
na jaane kab se nahīñ mil sakā huuñ maiñ ḳhud se
maiñ ḳhud se milne tire āstāñ pe aayā huuñ
ye iztirāb haqīqat meñ iztirāb nahīñ
ḳhushī ḳhushī maiñ is āh-o-fuġhāñ pe aayā huuñ
mujhe talāsh na kar tū yahāñ vahāñ 'momin'
nazar uThā ki tire ḳhvāb-dāñ pe aayā huuñ
Top Urdushayar.com