muñh tirā kyuuñ aaj zor-e-nā-tavānī phir gayā
us ke aate hī mire chehre pe paanī phir gayā
bhuul kar āshiq tumhārā jā rahā thā tuur par
duur se sun kar sadā-e-lan-tarānī phir gayā
zillat-o-rusvā.ī kī had bhī hai koī Duub mar
ai dil-e-nākām ab to sar pe paanī phir gayā
us ke aage tū ne phailāyā agar dast-e-savāl
yaad rakh ai dil sulūk-e-mehrbānī phir gayā
dil miTāyā terī ḳhātir jaan kī parvā na kī
kis liye tū ham se ai ahd-e-javānī phir gayā
be-sutūñ ko kaaT kar laayā thā zālim jū-e-shīr
kohkan kī hasratoñ par phir bhī paanī phir gayā
pattiyāñ pazhmurda phūloñ kī chaman meñ dekh kar
sāmne āñkhoñ ke daur-e-aish-e-fānī phir gayā
kal khilī thī jo kalī hai aaj murjhā.ī huī
merī nazroñ meñ ma.āl-e-zindagānī phir gayā
bul-havas kā muñh ho kaalā kaan meñ kyā kah diyā
aap ke chehre pe rañg-e-arġhavānī phir gayā
barq ban kar aaj vo mahfil meñ aa.e is tarah
merī āñkhoñ meñ mirā ahd-e-javānī phir gayā
bhar ke saaqī ne diyā jām-e-sharāb-e-arġhavāñ
'shād' ke chehre pe rañg-e-shādmānī phir gayā