maut aa.egī jo rusvā.ī kā sāmāñ hogā
chaak dil hogā agar chaak garebāñ hogā
dil ko bahlātā huuñ ye kah ke tirī furqat meñ
parda-e-ġhaib se ḳhud vasl kā sāmāñ hogā
hashr meñ dekheñge rahmat kā tamāshā zāhid
jab ḳhatāvār ḳhatāoñ pe pashemāñ hogā
malak-ul-maut ko bhī saath gul apne laanā
mujh pe ehsān terā ai shab-e-hijrāñ hogā
rahnumā.ī rah-e-ulfat meñ jo ai ḳhizr kare
vo farishta to nahīñ mujh sā hī insāñ hogā
ham na kahte the ki hai hosh-rubā husn tirā
aa.ina dekh na tū dekh ke hairāñ hogā
mujh se kahtī hai shab-e-vasl pareshāñ-nazarī
aap ke dil meñ bhī shāyad koī armāñ hogā
kū-e-jānāñ kī havas tujh ko bahut hai ai 'shād'
ḳhaak ke zarroñ kī mānind pareshāñ hogā