Murli Dhar Shad

kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

Murli Dhar Shad

kyuuñ bahār aate hī pahlū meñ bujhā aap hī aap
yā-ilāhī mire dil ko huā kyā aap hī aap
ḳhat meñ likkhā huā aa.egā judā.ī kā payām
ḳhvāb meñ ḳhat ke hue harf judā aap hī aap
nabzeñ Duubī huī bīmār kī paa.eñ shāyad
haath mil kar koī bālīñ se uThā aap hī aap
na talab thī mire dil kī na ishāra un kā
jaam lene ko mirā haath baḌhā aap hī aap
ishq-e-sādiq kā kahīñ zikr huā thā shāyad
us ne mahfil meñ mirā naam liyā aap hī aap
sham-e-mahfil tumheñ kahtā thā zamāna dekhā
huā parvāna uḌ ke fidā aap hī aap
jazb-e-dil kā ye asar bazm-e-adū meñ bhī huā
kasmasāte hue kuchh us ne kahā aap hī aap
shoḳhī-e-husn jigar-soz kā iimā ye na thā
bigḌī hai sham.a kī mahfil meñ havā aap hī aap
tum ne dushman se kahīñ aañkh laḌā.ī hogī
kyuuñ huā tīr-e-nazar aaj ḳhatā aap hī aap
'shād' ne aaj ye maqtal meñ tamāshā dekhā
dast-e-qātil se lagī uḌne hinā aap hī aap
Top Urdushayar.com