Murli Dhar Shad

qatil ko tegh-e-naz pe hai naz dekhna

Murli Dhar Shad

qātil ko teġh-e-nāz pe hai naaz dekhnā
dāman uThā ke chalne kā andāz dekhnā
rashk-e-raqīb kā to gumāñ bhī na kījiye
martā huuñ is liye ki hai e.ajāz dekhnā
tum aur apne va.ade pe aa jaao shaam se
kyā baat ban paḌī hai ḳhudā-sāz dekhnā
hai ḳhūn-e-dil abhī sar-e-mizhgāñ jamā huā
un kī taraf na dīda-e-ġhammāz dekhnā
fasl-e-bahār aate hī mutrib banī sabā
chheḌā shamīm-e-gul ne nayā saaz dekhnā
ā.īna sāmne na sahī aarsī to hai
tum apne muskurāne kā andāz dekhnā
baazū haiñ vā qafas meñ taḌaptā huuñ rāt-din
kis se kahūñ ki hasrat-e-parvāz dekhnā
yuuñ dekhne ke vāste lākhoñ hasīn haiñ
kis ko huā nasīb ye andāz dekhnā
ġhussa meñ aañkh bhī nahīñ miltī kisī se aaj
kis par gire nigāh kā shahbāz dekhnā
har lab pe gudgudī kā asar dekhtā huuñ maiñ
mahfil meñ un kī shoḳhī-e-āvāz dekhnā
qaa.il banī nazākat-e-āvāz dekhnā

likhe haiñ sher hazrat-e-'beḳhud' ke rañg meñ
ai ahl-e-bazm 'shād' kā e.ajāz dekhnā
Top Urdushayar.com