āshiq to bad-nasīb hai is meñ kalām kyā
rakkhā hai tū ne ye to batā apnā naam kyā
ma.ashūq kī nigāh meñ ulfat kā kaam kyā
badnām kar rahe ho mohabbat kā naam kyā
sau baar aap kah chuke ham se na boliye
ye ho gayā hai aap kā takiya-kalām kyā
roz-e-azal ke mast ko piine se kaam hai
us kī nazar meñ hurmat-e-māh-e-siyām kyā
hūreñ balā.eñ letī haiñ ma.ashūq kī mire
paidā na thā bahisht meñ husn-e-tamām kyā
vo ḳhud pilā.eñ maiñ na piyūñ merī kyā majāl
is meñ savāl-e-sub.h hai kyā zikr-e-shām kyā
nazroñ meñ saare tai hoñ mohabbat ke kārobār
ham tum haiñ sāmne to payāmī kā kaam kyā
guzrī hai apnī umr yūñhī intizār meñ
aa.egā 'shād' un kā koī ab payām kyā