āshiyāna mirā barbād na kar ai sayyād
baaġh se tū mujhe āzād na kar ai sayyād
qaid tū ne kiyā gulchīñ ne mirā dil toḌā
us pe kahtā hai ki fariyād na kar ai sayyād
phuul kumhlā ga.e naġhmoñ kā zamāna na rahā
pichhlī bātoñ ko to ab yaad na kar ai sayyād
ik na ik roz to gulshan meñ bahār aa.egī
ḳhaak merī abhī barbād na kar ai sayyād
phir ye kahtā huuñ ki maiñ 'shād' huuñ nāshād na huuñ
āshiyāna merā barbād na kar ai sayyād