tañg aa ga.e haiñ ishq meñ ab zindagī se ham
aa.e qazā to nazr kareñ jaañ ḳhushī se ham
un kī ḳhushī se baḌh ke hameñ kuchh nahīñ aziiz
dil maal kyā hai jaan bhī de deñ ḳhushī se ham
pūchhā thā maiñ ne ġhair ne kyā aap se kahā
bole kisī kī baat kaheñ kyuuñ kisī se ham
ruḳhsat kī tujh se maut ne mohlat hameñ na dī
band aañkh kar ke nikle haiñ terī galī se ham
pursān-e-hāl kaun ho badle hue haiñ bhes
baiThe haiñ un kī bazm haiñ ik ajnabī se ham
pūchho na ham se ziist kā lutf aa gayā hameñ
jis din se rū-shanās hue be-ḳhudī se ham
ham bhī haiñ apnī vaz.a ke duniyā meñ ek sī
mumkin nahīñ milāp kareñ mudda.ī se ham
'shād' is tarah se aaj kiyā us ne mujh ko 'shād'
dekho to phuul ban ga.e khil kar kalī se ham