Murli Dhar Shad

teri ye zulfen nahin tere ruKH-e-raushan ke pas

Murli Dhar Shad

terī ye zulfeñ nahīñ tere ruḳh-e-raushan ke paas
abr ke do TukḌe uTh kar aa.e haiñ gulshan ke paas
kyuuñ zamīñ hilne lagī hai kyuuñ pareshāñ ruuh hai
kaun ghabrā ke chalā aayā mire madfan ke paas
khīñchnā jazb-e-mohabbat us kā dāman dekh kar
sar-nigūñ baiThā na ho fitna koī dāman ke paas
phir to DhūñDā bhī nahīñ miltā koī murġh-e-chaman
ghar agar sayyād kā hotā kisī gulshan ke paas
kaun detā hai hamāre dil ko ye tarġhīb-e-nek
rahnumā baiThā huā hai kyā koī rahzan ke paas
maiñ to samjhā thā ki ab chhūTā ġham-o-ālām se
teġh us kī ruk ga.ī aa kar mirī gardan ke paas
bazm-e-dushman meñ nayā fitna koī uThne ko thā
ḳhair guzrī aap aa baiThe qayāmat ban ke paas
'shād' ab dil kā tumhāre haath aanā hai muhāl
vo magan baiThā huā hogā kisī pur-fan ke paas
Top Urdushayar.com