Murli Dhar Shad

bas yahi to muddaa hai aap ke irshad ka

Murli Dhar Shad

bas yahī to mudda.ā hai aap ke irshād kā
'shād' kis ne naam rakkhā āshiq-e-nāshād kā
lījiye hāzir hai nazrāna dil-e-nāshād kā
Tālnā āsāñ na thā kuchh aap ke irshād kā
barq samjhā hai jise saarā zamāna dekhiye
āsmāñ par chaḌh gayā lachhā mirī fariyād kā
hashr se ishq-e-nihāñ kī aur shohrat ho ga.ī
ek aalam qissa-ḳhvāñ niklā mirī rūdād kā
be-ta.alluq ho ke rahnā bāġh-e-ālam meñ muhāl
pā-ba-gul honā to dekho sarv se āzād kā
bāġhbāñ sayyād gulchīñ sab ke sab dekhā kiye
āshiyāñ ujḌā kiyā ik ḳhānamāñ-barbād kā
tark-e-ulfat par jo maiñ zinda rahā ghabrā ga.e
DhūñDte haiñ ab nayā pahlū koī bedād kā
zikr-e-dushman par mujhe jhuTlāne vaale phir tū kah
tum ho muztar kyā bharosa hai tumhārī yaad kā
garmī-e-dāġh-e-jigar se mom ho kar bah gayā
tum usī ḳhanjar ko samjhe the ki hai faulād kā
aañkh se kuchh ho ishāra kuchh tabassum lab pe ho
'shād' karnā kuchh nahīñ mushkil dil-e-nāshād kā
terī sab sunte haiñ merī koī suntā hī nahīñ
kis se ro.uuñ jā ke ab dukhḌā tirī bedād kā
'shād' yaktā-e-jahāñ hai aap ke sar kī qasam
dekh lenā jā-nashīñ hogā yahī ustād kā
Top Urdushayar.com