Sakhi Lakhnvi

dil hi mera faqat hai matlab ka

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
dil hī merā faqat hai matlab kā
yā jigar bhī hai aap ke Dhab kā
qais o farhād se maiñ huuñ vāqif
ho chukā hai muqābla sab kā
khaa.ī hai ik na.ī miThā.ī aaj
bosa paayā hai yaar ke lab kā
mai-kade meñ sharāb piite haiñ
ye patā hai hamāre mashrab kā
shii.a sunnī meñ to bakheḌe haiñ
naam luuñ kis ke aage maz.hab kā
malak-ul-maut se kaho phir jaa.eñ
jīte-jī mar chukā huuñ maiñ kab kā
aap farmā.eñ hijr kā ahvāl
maiñ karūñ zikr vasl kī shab kā
sub.h ko jhoñke niiñd ke kaise
kahīñ jaagā huā hai tū shab kā
us ke kūcha kī bhiik chāhte haiñ
shauq jāgīr kā na mansab kā
rahe din bhar vo mudda.ī mere
yaad kar ke muāmla shab kā
barg-e-gul aa maiñ tere bose luuñ
tujh meñ hai Dhañg yaar ke lab kā
naqd-e-dil detā huuñ to kahte haiñ
vaah aisā 'saḳhī' hai tū kab kā
Top Urdushayar.com