to vahāñ jā ke bachegā dil-e-hoshyār ġhalat
un kī nazroñ kā ḳhatā hotā hai kab vaar ġhalat
ye to hūroñ kā talabgār hai dīñ-dār kahāñ
bañdh ga.ī shaiḳh ke sar bhūle se dastār ġhalat
do hī fiqroñ meñ vo aġhyār ke ban baiThe haiñ
nāma-bar un ko batātā hai jo hoshyār ġhalat
Thokareñ khā ke hī insān banā kartā hai
zindagī ishq meñ ho jā.egī yuuñ ḳhvār ġhalat
us ke dīdār kī ummīd dobāra kaisī
kahīñ hotī hai tajallī ko bhī takrār ġhalat
vo mujhe pūchhte paiġhām-rasā jhuuT na bol
ye bayāñ terā sarāsar hai mire yaar ġhalat
ishq kā josh sahī hausla ye ham meñ kahāñ
un se kuchh arz kareñge sar-e-bāzār ġhalat
'shād' hai naam vo dil shaad rahā kartā hai
vo bhalā ro.egā jā kar pas-e-dīvār ġhalat