Murli Dhar Shad

na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna

Murli Dhar Shad

na koī mehrbāñ apnā na koī rāz-dāñ apnā
jise samjhe the apnā dil vo dil bhī ab kahāñ apnā
jo ho chashm-e-karam terī jo ho tū mehrbāñ apnā
zamīñ apnī falak apnā makīñ apne makāñ apnā
vo le kar aa.ina baiThe the lene imtihāñ apnā
kiyā hāthoñ se apne dāman-e-dil dhajjiyāñ apnā
bhaTakte phir rahe haiñ justujū-e-yār meñ ab tak
kahīñ Tikne nahīñ detā hameñ vahm-o-gumāñ apnā
javānī meñ kise nekī badī kā hosh hotā hai
javānī meñ nahīñ kuchh sūjhtā sūd-o-ziyāñ apnā
zamāne ne vo karvaT mirī duniyā badal Daalī
na ab hai rāz-dāñ koī na koī mehrbāñ apnā
kisī ko yaad ham aate nahīñ is anjuman meñ ab
ba-hamdillāh zikr-e-ḳhair rahtā thā jahāñ apnā
vo gul haiñ ham gulistāñ se uḌe yuuñ bū-e-gul ban kar
na DhūñDe se milā gulchīñ ko phir nām-o-nishāñ apnā
mazā ustād ke sheroñ kā ham ko 'shād' aatā hai
vo hai tarz-e-suḳhan apnī vo hai rañg-e-bayāñ apnā
Top Urdushayar.com