kisī ke muntazir rahnā na darvāza khulā rakhnā
hameñ aayā nahīñ dil ko mohabbat meñ lagā rakhnā
ye karb-o-dard hī dar-asl hai darkār jiine meñ
so in ko chāhiye din-rāt palkoñ pe sajā rakhnā
ḳhudā jaane faqīroñ meñ ye fan kis tarah aatā hai
koī bhī sāneha guzre magar chehra khulā rakhnā
amīr-e-shahr ke logoñ meñ ik ye bhī rivāyat hai
bahut mailā badan rakhnā bahut ujlī qabā rakhnā
ġhazab kā mashvara de kar hai vo ab tak ġhazab shā.ir
baḌe logoñ se milne meñ hamesha fāsla rakhnā
mire saa.e mire naqsh-e-qadam par mat chalā kar tū
umīd-e-rahbarī bhaTke hue logoñ se kyā rakhnā
ḳhafā rahne se is darja nikhār aayā hai ġhazloñ meñ
ki ab to chāhtā huuñ umr bhar ḳhud ko ḳhafā rakhnā