sab kuchh bas kahne ko bhūlā jaatā hai
varna zehn se kab vo chehra jaatā hai
yaad barābar aatā rahtā hai vo shaḳhs
nashshoñ kā paisa bhī zaa.e.a jaatā hai
kuchh yuuñ TuuT ke girte haiñ āñkhoñ se ḳhvāb
shīsha bhī hairānī meñ aa jaatā hai
us hañstī tasvīr ko āḳhir kyā ma.alūm
us ko dekh ke kitnā royā jaatā hai
is darja ḳhāmosh rahā huuñ muddat se
yaad nahīñ hai kaise bolā jaatā hai
mujh ko ishq aur duniyā donoñ dekhne haiñ
saanī khīñch bhī luuñ to uulā jaatā hai