Abhinandan Pandey

chalo farar-e-KHudi ka koi sila to mila

Abhinandan Pandey

Patna, Bihar, India

1988
chalo farār-e-ḳhudī kā koī sila to milā
hamīñ mile nahīñ us ko hameñ ḳhudā to milā
nashāt-e-qarya-e-jāñ se judā huī ḳhushbū
safar kuchh aisā hai ab ke koī milā to milā
hamāre ba.ad rivāyat chalī mohabbat kī
nizām-e-ālam-e-hastī ko falsafa to milā
jo chhoḌ aa.e the taskīn-e-dil ke vāste ham
tumheñ ai jān-e-tamannā vo naqsh-e-pā to milā
savāl aa ga.e āñkhoñ se chhin ke hoñToñ par
hameñ javāb na dene kā fā.eda to milā
ye āh-o-girya-o-zārī kahīñ to kaam aa.ī
havā-e-dasht ko paanī kā zā.iqa to milā
namāz-e-asr nahīñ paḌh sakī mirī vahshat
junūn-e-ishq ko maidān-e-karbalā to milā
phir is ke ba.ad barāmad na ho sakā kuchh bhī
hamāre aañkh meñ jaltā huā diyā to milā
Top Urdushayar.com