ḳhushnumā dhun pe raqam dard ke naġhmāt sā thā
vaqt-e-ruḳhsat bhī junūñ pahlī mulāqāt sā thā
jism ke dasht meñ raqsāñ the mahakte hue zaḳhm
kal shab-e-hijr kā aalam shab-e-bārāt sā thā
dil ke dariyā meñ thiraktā thā tirī yaad kā chāñd
shab ke hoñToñ pe tirā zikr munājāt sā thā
maiñ to ik umr faqat us ke ta.āqub meñ rahā
jo mirī zaat meñ maujūd tirī zaat sā thā
lams-e-āḳhir mire kashkol-e-badan kī ḳhātir
ek muflis ko mayassar huī ḳhairāt sā thā
maiñ tire shoḳh laboñ par to abhī aayā huuñ
is se pahle tirī āñkhoñ meñ savālāt sā thā
jagmagāte hue jugnū na ziyāñ hotā charāġh
raat meñ kuchh bhī na thā jis ko kaheñ raat sā thā